Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein / क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में / کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں
kyun aake ro rahaa hai muhammad ke shehar mein kyun aake ro rahaa hai muhammad ke shehar mein har dard ki dawaa hai muhammad ke shehar mein aao gunahgaaron chalo sar ke bal chalein tauba ka dar khula hai muhammad ke shehar mein kadmon ne unke khaak ko kundan banaa diya mitti bhi kimiya hai muhammad ke shehar mein sadqa luta rahaa hai khuda unke naam ka sona nikal rahaa hai muhammad ke shehar mein sab to jhuke hein khaana-e-kaaba ke saamne kaaba jhuka hua hai muhammad ke shehar mein saaya nahi hai gumbade khazra ka aaj bhi zinda ye mojzaa hai muhammad ke shehar mein aye raaz tu to hind mein maujood hai magar din raat pad rahaa hai muhammad ke shehar mein Full Lyrics ya nabi aap ke jalwon mein wo raanaaii hai dekhne par bhi meri aankh tamannaii hai haq ta-aala...