Kab Gunaahon se Kinaara Mein karunga Ya Rab || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)
Roman(Eng) : Kab Gunaahon se Kinaara Mein karunga Ya Rab Nek Kab Aye Mere Allah ! Banunga Ya Rab Kab Gunaahon ke Maraz se Mein Shifa Paaunga Kab Mein bimaar Madine ka banunga Ya Rab Gar Tere Pyaar ka jalwa na raha Peshe-Nazar Sakhtiyaan Naz'aa ki kyun kar Mein sahunga Ya Rab Naz'aa ke waqt Muje jalwaa-e-Mehboob dikha Tera kya jaayega Mein shaad marunga Ya Rab Qabr mein gar na Muhammad ke nazaare honge Hashr tak kaise Mein fir tanha rahunga Ya Rab Dankh machhar ka bhi Mujse to saha jaata nahin Qabr mein bichhu ke dankh kaise sahunga Ya Rab Ghoop andhere ka bhi wahshat ka basera hoga Qabr mein kaise akela Mein rahunga Ya Rab Gar kafan faad ke saanpon ne jamaaya kabza Haaye barbaadi kahaan jaake chhupunga Ya Rab Haaye maamuli si garmi bhi sahi jaati nahin Garmi-e-Hashr Mein fir kaise sahunga Ya Rab Aaj banta hu mu'azzaz jo khule hashr mein ayeb Aah ! ruswaaee ki aafat mein fasunga Ya Rab Pul Siraat aah hai talwaar ki bhi dhaar se tez Kis tarha se M...