mujhe dar pe fir bulaana , madani madine waale || मुझे दर पे फिर बुलाना , मदनी मदीने वाले || مجھے در پے پھر بلانا ، مدنی مدینے والے
Roman(ENG): mujhe dar pe fir bulaana , madani madine waale ! ma-e-'ishq bhi pilaana , madani madine waale ! meri aankh me.n samaana , madani madine waale ! bane dil tera thikaana , madani madine waale ! teri jabke deed hogi , jabhi meri 'eed hogi mere khwaab me.n tum aana , madani madine waale ! mujhe gham sataa rahe he.n , meri jaan khaa rahe he.n tumhi.n hosla badhaana , madani madine waale ! mere sab 'azeez chhute.n , mere dost bhi go ruthe.n shahaa ! tum na ruth jaana , madani madine waale ! mai.n agarche hu.n kameena , tera hu.n shah-e-madina ! mujhe qadmo.n se lagaana , madani madine waale ! ye mareez mar raha hai . tere haath me.n shifa hai aye tabeeb ! jald aana , madani madine waale ! kahu.n kis se aah ! jaa kar , sune kaun mere sarwar ! mere dard ka fasaanaa , madani madine waale ! mai.n ghareeb be-sahaara , kahaa.n aur hai guzaara mujhe aap hi nibhaana , madani madine waale ! ye karam bada karam hai , tere haath me.n bharam hai sar-e-hashr bakhshwaana , madani ...