Muhammad muhammad madina madina Lyrics / मुहम्मद मुहम्मद मदीना मदीना / محمد محمد مدینہ مدینہ
muhammad muhammad madina madina dikhade ilahi wo pyara madina ilahi bana de madina ye sina mein mar jaaun mere kafan pe ye likhna muhammad muhammad madina madina chali jis taraf se nabi ki sawaari shajar ne hajar ne di jhuk kar salaami sabhi kar rahe hain nabi ki gulaami nabi ne sikhaya har ek shai ko jeena muhammad muhammad madina madina khade hain sawaali dare mustafa par wahan koi aala na koi tawangar chalo aao maange habeeb-e-khuda se ke haathon mein hai jiske sara khazeena muhammad muhammad madina madina bula lo madine mein aaqa bula lo gira ja raha hoon sambhaalo sambhaalo khataakar hoon mujhko aaqa nibhaalo laga do mera paar aaqa safeena muhammad muhammad madina madina kiya jab bhi karte the aaqa ibaadat to quraan karta tha unki tilaawat ye aisa khuda ki qasam mojza hai mila inke sadqe se bakhshish ka zeena muhammad muhammad madina madina ye aankhon ka rona ye dil ka tadapna tasawwur mein aaqa ke dar se lipatna dare mustafa par kahunga main j...