kursi par koi bhi baithe raja to mera khwaaja hai Lyrics - English Hindi Urdu

kursi par koi bhi baithe, raaja to mera khwaaja hai Roman(English) : mai.n ghada-e-khwaaja-e-chisht hu.n mujhe is ghadaaee pe naaz hai mera naaz khwaaja pe kyu.n na ho mera khwaaja banda-nawaaz hai us ke karam ke sab hei.n bhikaari kya raaja mahaaraaja hai kursi par koi bhi baithe, raaja to mera khwaaja hai saare hind ka hai raaja, mera khwaaja mahaaraaja haidar ka laadla hai, wo zahra ka laal hai beshak mera mu'een muhammad ki aal hai deewaano.n ko kis baat ka aakhir malaal hai khwaaja ko apni praja ka pura khayaal hai kursi par koi bhi baithe, raaja to mera khwaaja hai saare hind ka hai raaja, mera khwaaja mahaaraaja har aankh chaahti hai ziyaarat mu'een ki har dil mei.n bas gayi hai mohabbat mu'een ki is sar-zamin-e-hind ke shaaho.n ne keh diya mehshar talak rahegi hukumat mu'een ki kursi par koi bhi baithe, raaja to mera khwaaja hai saare hind ka hai raaja, mera khwaaja mahaaraaja ham gharibo.n ki sadaao.n ne bulaaya hai tujhe hind ka shaah muhammad ne banaaya...