Ne'matein bantata Jis simt wo zeeshan gaya || ने'मतें बांटता जिस सिम्त वो ज़ी-शान गया || نعمتیں بانٹتا جس سمت وہ ذی شان گیا || Lyrics
Roman(ENG): ne'mate.n bantata jis simt wo zee-shaan gaya sath hi munshi-e-rahmat ka qalam-daan gaya le khabar jald ke gairo.n ki taraf dhyaan gaya mere aaqa ! mere maula ! tere qurbaan gaya aah ! wo aankh ke nakaam-e-tamanna hi rahi haaye ! wo dil jo tere dar se pur-armaan gaya dil hai wo dil , jo teri yaad se ma'moor raha sar hai wo sar , jo tere qadmo.n pe qurbaan gaya unhe.n jaana , unhe.n maana , na rakkha gair se kaam lillahil hamd mai.n duniya se musalmaan gaya aur tum par mere aaqa ki inaayat na sahi najdiyo.n ! kalma padaane ka bhi ahesaan gaya aaj le unki panaah , aaj madad mang unse fir na maanenge , qayaamat me.n agar maan gaya uff re ! munkir ye bada josh-e-ta'assub aakhir bhid me.n hath se kambakht ke imaan gaya jaan-o-dil hosh-o-khirad sab to madine pahunche tum nahi.n chalte raza , saara to saaman gaya Click Here for Mushkil Alfaaz ke ma'ani हिंदी(HINDI): ने'मतें बांटता जिस सिम्त वो ज़ी-शान गया साथ ही मुंशी-ए-रहमत का क़लम-दान गया ले ...