main to panjtan ka ghulam hun lyrics / मैं तो पंजतन का ग़ुलाम हूँ / میں تو پنجتن کا غلام ہوں

main to panjtan ka ghulam hu.n mai.n to panjtan ka ghulaam hu.n, mai.n ghulam-e-ibn-e-ghulaam hu.n mujhe 'ishq hai to KHuda se hai, mujhe 'ishq hai to rasool se ye karam hai saara batool ka, mere mu.nh se aaye mahek sada jo mai.n naam lu.n tera jhoom ke mai.n to panjatan ka ghulam hu.n mujhe 'ishq sarw-o-saman se hai, mujhe 'ishq saare chaman se hai mujhe 'ishq unke badan se hai, mujhe 'ishq unki gali se hai mujhe 'ishq hai to 'ali se hai, mujhe 'ishq hai to hasan se hai mujhe 'ishq hai to husain se, mujhe 'ishq shaah-e-zaman se hai mai.n to panjtan ka ghulaam hu.n hua kaise tan se wo sar juda, jahaa.n 'ishq ho wahi.n karbala meri baat unhi.n ki baat hai, mere saamne wo hi zaat hai wo hi jinko sher-e-KHuda kahei.n, jinhei.n baab-e-sall-e-'ala kahei.n wo hi jinko aal-e-nabi kahei.n, wo hi jinko zaat-e-'ali kahei.n wo hi pukhta hei.n, mai.n to khaar hu.n mai.n to panjtan ka ghulaam hu.n mai.n qamar hu.n s...