Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics
wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai muzamil o yaseen o mudassir o taahaa kya kya naye alqaabo.n se maulaa ne pukaara kya shaan hai uski jo ummi laqabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wo zaat ke jo mazhar-e-louh-o-qalam hai jo saahib-e-rafraf shab-e-me'raaj hua hai asraa me.n imaamat jis...