ab to bas ek hi dhun hai ke Madina dekhun Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

aakhri umar me.n kya ronak-e-duniya dekhu.n yehi dhun hai yehi dhun hai yehi dhun hai yehi dhun hai yehi dhun hai Madina dekhu.n ek baar yehi dhun hai Madina dekhu.n ek baar aakhri umar me.n kya ronak-e-duniya dekhu.n ab to bas ek hi dhun hai ke Madina dekhu.n jaaliyaa.n dekhu.n ke deewar-o- dar-o-baam -e-haram apni ma'azoor nigaaho.n se mai.n kya kya dekhu.n ab to bas ek hi dhun hai ke Madina dekhu.n mai.n kahaa.n hu.n ye samaj lu.n to uthaau.n nazrei.n dil jo sambhle to mai.n fir gumbad-e-KHazra dekhu.n ab to bas ek hi dhun hai ke Madina dekhu.n mere Maula ! meri aankhei.n muje waapas karde taake is baar mai.n jee bhar ke Madina dekhu.n ab to bas ek hi dhun hai ke Madina dekhu.n kaash ! Iqbal yunhi 'umr basar ho meri sub-ha Kaa'be me.n ho to shaam ko Taybaah dekhu.n ab to bas ek hi dhun hai ke Madina dekhu.n Naat-Khwaans : Hafiz Ahmad Raza Qadri ...