Ek Baar Madine mein ho jaye Mera Jaana Lyricas || Milad Raza
Ek Baar Madine mein ho jaye Mera Jaana Fir Aur na Kuchh Mange Sarkar ka Diwana Ek Baar Madine mein ho jaye Mera Jaana Pal Pal Mera Dil Tadpe Din Raat kare Zari Kab Aaun Madine mein Kab aaye Meri bari Kab Jaake Mein dekhunga Darbar Won Shahana Ek Baar Madine mein ho jaye Mera Jaana Is Aas pe Jeeta hun Ek Roz bulayenge Aur Gumbade Khazra ka Deedarv karayenge Fir Pesh karunga Mein Ashkon bhara Nazrana Ek Baar Madine mein ho jaye Mera Jaana Bechain Nigahon ko Deedar ata kardo Daman Mera Khushiyon se Ya Shahe Umam bhar do Aabad Khuda rakkhe Aaqa Tera Maikhana Ek Baar Madine mein ho jaye Mera Jaana Itni si Tamanna hai ho jaaye Agar Puri Jaa Dekhun Madina Mein ho jaaye Jo Manzuri Bin Deed kiye Shaha Mar Jaye na Diwana Ek Baar Madine mein ho jaye Mera Jaana