Skip to main content

Hai Itni Shdeed ab to Tamanna-e-Madina Lyrics || Asad Attari


Madina Madina Madina Madina
Hai Itni Shdeed ab to Tamanna-e-Madina
Roze pe bula lijiye Sultane Madina

Madina Madina Madina Madina
Muddat se Mere Dil mein hai Armane Madina
Roze pe bula lijiye Sultane Madina

Madina Madina Madina Madina
Aye kash pahunch ker Dare Janane-Madina
Ho jaun Mein so jaan se kurbane Madina
Roze pe bula lijiye Sultane Madina

Aate hein Mukaddar ke Sikandar Tere Dar par
Be-Izn ho kaise koi Mehmane Madina
Roze pe bula lijiye Sultane Madina

Jisne bhi Madina dekh liya 
Usne bhi Madina dekh liya
Sarkar kabhi to Mein bhi kahun
Meine bhi Madina dekh liya

Muddat se Mere Dil mein hai Armane Madina
Roze pe bula lijiye Sultane Madina

Badi Garibi hai Majboor ho gaye hein Ham
Tumhare Darse bahot door ho gaye hein Ham
Jo Hukm ho to Madine mein gumne aayein
Dayare Paak ki Diwar chumne aayein

Muddat se Mere Dil mein hai Armane Madina
Roze pe bula lijiye Sultane Madina

Aag aesi laga dijiye Qalb aur Jigar mein
Rota rahun tadpa kar Aye Jaane Madina
Roze pe bula lijiye Sultane Madina

Ab Sindh ke Jangal mein Mera jee nahin lagta
Bas Mujko bula lijiye Gulistane Madina
Roze pe bula lijiye Sultane Madina

Kar dijiye Deedar se Aankhein Meri thandi

Tumhe na dekha to kis kaam ki hein ye Aankhein
Ke Dekhne ki hai sari bahar Aankhon mein

Kar dijiye Deedar se Aankhein Meri thandi
Aye Jaane Jahan Sayyido Sultane Madina
Roze pe bula lijiye Sultane Madina

Qadmon mein bula lijiye Badkar ko Aaqa
Aur Isko bana lijiye Mehmane Madina
Roze pe bula lijiye Sultane Madina

Attar ko Daulat na hukumat ki talab hai
De Dijiye Baqi Isko to Sultane Madina

Popular posts from this blog

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Sabse Ula wa Aala Hamara Nabi Sabse bala wa Wala Hamara Nabi Apne Maula ka Pyara Hamara Nabi Donon Aalam ka Dulha Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Lakhon aaye yahan aur lakhon gaye Unche Unche Shahenshah yaha na rahe Kitne diye jale jalke fir buj gaye Kya khabar kitne Taare khile chhup gaye Par na dube na duba Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Jinke Talwon ka dhowan hai Aabe Hayat Hai Wo Jaane Masiha Hamara Nabi Khalk se Auliya Auliya se Rusool Aur Rasoolon se aala Hamara Nabi Kaun deta hai dene ko Munh chahiye Dene wala hai saccha Hamara Nabi Ghamzadon ko Raza Muzda dijiye ke hein Bekason ka Sahara Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa

Shahe Do alam Salam Assalam Lyrics

Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Karo door har gham Salam Assalam Har aankh hoke purnam salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Rabb ne bade pyar se me'raaj mein kaha Rehne do na'layn ko aa jaao mustafa Kadam e Muhammad ko liya arsh ne bosa Jhum uthe sare malaik w marhaba Mange jo nabi rabb ne wo diya Rabb ne jo diya nabi ne wo liya Jhuka arsh e Aazam Salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Aap ne jo kar diya ungali ka ishara Chaand do tukde hua kurban ho gaya Jab namaz e asar ali ki hui kaza Aap ne suraj ko dubara palat diya Aap jo kiye mo'ajaze bane Aap jab chale do jahan juke Mera sar bhi hai kham Salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Ya nabi ab hind mein mushkil hua jina Nazre karam se hamen bulwayen madina Paas hamare na koi maalo zar hai Mujse badi door madine ka safar hai Der na karo jald

Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Hajj ka Sharaf ho fir ata Ya Rabbe Mustafa Meetha Madina fir dikha Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Rukh Soo-e-Kaaba Hath mein Zamzam ka Jaam ho Pee kar karun Mein fir Dua Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Roti rahe jo Har Gadi Ishke Rasool mein Wo Aankh de de Ya Khuda Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Mere Maula Karam ho Karam Mere Maula Karam ho Karam De de Tawafe Khana-e-Kaaba ka fir Sharaf Farma Ye Pura Mudd'aa Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Aankhon mein Jalwa Shah ka Aur Lab pe Naat ho Jab Rooh Tan se ho Juda Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Firdos mein Pados