Aakhri roze hein dil ghamnak muztra jaan hai Lyrics


Aakhri roze hein dil ghamnak muztra jaan hai
Hasratan wa hasratan ab chal diya ramzan hai

Aashikane maahe ramzan ro rahe hein foot kar
Dil bada be chain hai afsurda rooho jaan haiDastane gham sunayein kis ko jaa kar aah ! ham
Ya Rasulallah ! dekho chal diya ramzan hai

Wakte iftaro saher ki ronakein hongi kahan
Chand din ke baad ye sara sama sumsam hai

Haaye sad afsos ramzan ki na ham ne kadr ki
Be sabab hi bakhsh de ya Rab ! ke tu rehman hai

Wasita ramzan ka ya Rab ! tu hame bakhsh de
Nekiyon ka apne palle kuchh nahin saman hai

Kaash aate saal hon Attar ko ramzan naseeb
Ya nabi ! meethe madine mein bada arman hai

Comments

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Eng & Hindi Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do alam Salam Assalam Lyrics