Haqeeqat mein wo lutfe zindagi paya nahin karte Lyrics
Haqeeqat mein wo lutfe zindagi paya nahin karte Jo yaade mustafa se dil ko behlaya nahin karte Zabaan par shikwa-e-ranjo alam laya nahin karte Nabi ke naam lewa gham se gabraya nahin karte Are oh nasamaj ! kurban hoja unke roze par Ye lamhe zindagi mein baar baar aaya nahin karte Ye darbare muhammad hai yahan apno ka kya kehna Yahan se hath khali gair bhi jaya nahin karte Ye hai darbar aaqa ka yahan milta hai be mange Are nadaan yahan daman ko failaya nahin karte Muhammad Mustafa ke baag ke sab fuul aese hein Jo bin paani ke tar rehte hein murjaya nahin karte Jo unke damane rehmat se wabasta hai ae Hameed Kisi ke samne daman ko failaya nahin karte